ishq toh mushkil hai ai kaun kahta sahal hai
lek naadaani se apni tu ne samjha sahal hai
gar khule ki girah tujh se toh ham jaanein tujhe
ai saba ghunche ka uqda khol dena sahal hai
hamadmo dil ke lagaane mein kaho lagta hai kya
par chhudaana is ka mushkil hai lagaana sahal hai
garche mushkil hai bahut mera ilaaj-e-dard-e-dil
par jo tu chaahe toh ai rashk-e-maseeha sahal hai
hai bahut dushwaar marna ye suna karte the ham
par judaai mein tiri ham ne jo dekha sahal hai
shama ne jal kar jalaaya bazm mein parwaane ko
bin jale apne jalaana kya kisi ka sahal hai
ishq ka rasta saraasar hai dam-e-shamsheer par
bul-hawas is raah mein rakhna quadam kya sahal hai
ai zafar kuchh ho sake toh fikr kar uqba ka tu
kar na duniyaa ka taraddud kaar-e-duniyaa sahal hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein