gai yak-b-yak jo hawa palat nahi ko mere quaraar hai
karoon us sitam ko main kya bayan mira se seena figaar hai
ye reaaya-e-hind tabah hui kahoon kya jo in pe jafa hui
jise dekha haakim-e-waqt ne kaha ye bhi quabil-e-daar hai
ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phaansi logon ko be-gunaah
wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke bukhaar hai
na tha shahar-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman
jo khitaab tha wo mita diya faquat ab toh ujda dayaar hai
yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai
jo bahaar thi so khizan hui jo khizan thi ab wo bahaar hai
shab-o-roz phool mein jo tule kaho khaar-e-gham ko wo kya sahe
mile tauque quaid mein jab unhein kaha gul ke badle ye haar hai
sabhi jaada maatam-e-sakht hai kaho kaisi gardish-e-bakht hai
na wo taaj hai na wo takht hai na wah shaah hai na dayaar hai
jo sulook karte the aur se wahi ab hain kitne zaleel se
wo hain tang charkh ke jaur se raha tan pe un ke na taar hai
na wabaal tan pe hai sar mira nahi jaan jaane ka dar zara
kate gham hee, nikle jo dam mira mujhe apni zindagi baar hai
kya hai gham zafar tujhe hashr ka jo khuda ne chaaha toh baramla
hamein hai waseela rasool ka wo hamaara haami-e-kaar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
lagta nahin hai dil mera ujRe dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paaydaar mein
umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzu mein kaT gaye do intezaar mein
kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein
na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake main vo ek musht-e-ghubaar hoon
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein