ze-haal-e-miskin makun duraay nainan banaae batiyan
ki taab-e-hijran nadaaram ai jan na lehoo kaahe lagaae chhatiyan
shabaan-e-hijran daraaz choon zulf o roz-e-waslat choon umr-e-kotaah
sakhi piya ko jo main na dekhoon toh kaise kaatoon andheri ratiyan
yakaayak az do chashm jaadoo b-sad-farebam b-burd taskin
kise padi hai jo ja sunaawe piyaare pi ko hamaari batiyan
choon sham-e-sozan choon zarra hairan z mehar-e-aan-mah bagashtam aakhir
na neend nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan
b-haqque-e-aan mah ki roz-e-mahshar b-daad maara fareb khusraw
sapeet man ke duraay raakhoon jo jaae paaoon piya ki khatiyan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khusro darya prem ka, ulti waa ki dhaar
jo utra so doob gaya, jo dooba so paar
khusro rain suhaag ki jaagi pi ke sang
tan mora man pi ka dono bhaye ek rang
gori sove sej par mukh par daare kes
chal khusro ghar aapne rain bhayi chahun des
zihaal-e-miskeen makun taghaful, duraaye naina banaaye batiyan
ki taab-e-hijran nadaram ai jaan, na leho kaahe lagaaye chhatiyan
apni chhab banaay ke jo main pi ke paas gai
jab chhab dekhi pi ki to apni bhool gai
bahut kathin hai dagar panghat ki
kaise main bhar laaun madhva se matki