zamaana aaya hai be-hijaabi ka aam deedaar-e-yaar hoga
sukoot tha parda-daar jis ka wo raaz ab aashkaar hoga
guzar gaya ab wo daur saaqui ki chhup ke peete the peene waale
banega saara maikhaana har koi baada-khwaar hoga
kabhi jo aawaara-e-junoon the wo bastiyon mein aa basenge
barahna-paai wahi rahegi magar naya khaar-zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraaiyon se baandha gaya tha par ustuwaar hoga
nikal ke sahra se jis ne rooma ki saltanat ko ulat diya tha
suna hai ye qudsiyon se main ne wo sher phir hoshiyaar hoga
kiya mira tazkira jo saaqui ne baada-khwaaron ki anjuman mein
toh peer maikhaana sun ke kahne laga ki munh phat hai khaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo ki basti dukan nahi hai
khara hai jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam-ayaar hoga
tumhaari tahzeeb apne khanjar se aap hi khud-kushi karegi
jo shaakh-e-naazuk pe aashiyana banega naa-paaedaar hoga
safeena-e-barg-e-gul bana lega quafila mor-e-naa-taawan ka
hazaar maujon ki ho kashaakash magar ye dariya se paar hoga
chaman mein laala dikhaata phirta hai daagh apna kali kali ko
ye jaanta hai ki is dikhaawe se dil jalon mein shumaar hoga
jo ek tha ai nigaah tu ne hazaar kar ke hamein dikhaaya
yahi agar kaifiyat hai teri toh phir kise etibaar hoga
kaha jo quamri se main ne ik din yahan ke aazaad paagal hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
khuda ke aashique toh hain hazaaron banon mein phirte hain maare maare
main us ka bandaa banoonga jis ko khuda ke bandon se pyar hoga
ye rasm barham fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish nazar bhi
rahegi kya aabroo hamaari jo tu yahan be-quaraar hoga
main zulmat-e-shab mein le ke nikloonga apne darmaanda kaarwan ko
shah nishan hogi aah meri nafas mira shola baar hoga
nahi hai ghair az numood kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka
tu ik nafas mein jahan se mitna tujhe misaal sharaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar-e-raahguzaar baitha sitam-kash intizaar hoga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga