ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi
ki khudi ke aarifon ka hai maquam paadshaahi
tiri isi se tiri aabroo isi se
jo rahi khudi toh shaahi na rahi toh roo-siyaahi
na diya nishaan-e- mujhe ai hakeem tu ne
mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nashin na raahi
mire halqua-e-sukhan mein abhi zer-e-tarbiyat hain
wo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi
ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar
ki mujhe toh khush na aaya ye tarique-e-khaanquahi
tu huma ka hai shikaari abhi ibtida hai teri
nahi maslahat se khaali ye jahaan-e-murgh-o-maahi
tu arab ho yaa ajam ho tira la ilaah illa
lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga