wo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junoon
mujhe nafas-e-jibraeel de toh kahoon
sitaara kya miri taqudeer ki khabar dega
wo khud faraakhi-e-aflaak mein hai khwaar o zuboon
hayaat kya hai khayaal o ki majzoobi
khudi ki maut hai andesha-ha-e-goona-goon
ajab mazaa hai mujhe lazzat-e-khudi de kar
wo chaahte hain ki main apne aap mein na rahoon
zameer-e-paak o nigaah-e-buland o masti-e-shauque
na maal-o-daulat-e-quaroon na fikr-e-aflaatoon
sabaque mila hai ye meraaj-e-mustafa se mujhe
ki aalam-e-bashreeyat ki zad mein hai gardoon
ye kaaenaat abhi naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahi hai damaadam sada-e-kun-faykoon
ilaaj aatish-e-roomi ke soz mein hai tira
tiri khirad pe hai ghaalib firangiyon ka fusoon
usi ke faiz se meri nigaah hai raushan
usi ke faiz se mere suboo mein hai jehoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga