wahi meri kam-naseebi wahi teri be-niyaazi
mire kaam kuchh na aaya ye kamaal-e-nai-nawaazi
main kahan hoon tu kahan hai ye makan ki la-makan hai
ye jahan mira jahan hai ki tiri karishma-saazi
isi kashmakash mein guzrin miri ki raatein
kabhi soz-o-saaz-e-roomi kabhi pech-o-taab-e-raazi
wo fareb-khurda shaahin ki pala ho karagson mein
use kya khabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shaahbaazi
na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-khabar main
koi -kusha sada ho ajmi ho yaa ki taazi
nahi faqr o saltanat mein koi imtiyaaz aisa
ye sipah ki tegh-baazi wo nigah ki tegh-baazi
koi kaarwan se toota koi bad-guman haram se
ki ameer-e-kaarwan mein nahi khoo-e-dil-nawaazi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga