tu abhi rahguzar mein hai quaid-e-maquam se guzar
misr o hijaaz se guzar paaras o shaam se guzar
jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai
hoor o khiyaam se guzar baada-o-jaam se guzar
garche hai dil-kusha bahut -e-farang ki bahaar
taaerak-e-buland-baam daana-o-daam se guzar
koh-shigaaf teri zarb tujh se kushaad-e-sharque-o-gharb
tegh-e-hilaal ki tarah -e-niyaam se guzar
tera imaam be-huzoor teri namaaz be-suroor
aisi namaaz se guzar aise imaam se guzar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga