tujhe yaad kya nahi hai mire ka wo zamaana
wo adab-gah-e-mohabbat wo nigah ka taaziyaana
ye butaan-e-asr-e-haazir ki bane hain madarse mein
na ada-e-kaafiraana na taraash-e-aazraana
nahi is khuli faza mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahan ajab jahan hai na quafas na aashiyana
rag-e-taak muntazir hai tiri baarish-e-karam ki
ki ajam ke mai-kadon mein na rahi mai-e-mughaana
mire ham-safeer ise bhi asar-e- samjhe
unhein kya khabar ki kya hai ye nawa-e-aashiquana
mire khaak o khoon se tu ne ye jahan kiya hai paida
sila-e-shaahid kya hai tab-o-taab-e-jaawedaana
tiri bandaa-parawri se mire din guzar rahe hain
na gila hai doston ka na shikaayat-e-zamaana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga