tire ki intiha chaahta hoon
miri saadgi dekh kya chaahta hoon
sitam ho ki ho waada-e-be-hijaabi
koi baat -aazma chaahta hoon
ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ki main aap ka saamna chaahta hoon
zara sa toh dil hoon magar shokh itna
wahi lan-taraani suna chaahta hoon
koi dam ka mehman hoon ai ahal-e-mahfil
charaagh-e-sahar hoon bujha chaahta hoon
bhari bazm mein raaz ki baat kah di
bada be-adab hoon saza chaahta hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga