sakhtiyan karta hoon par ghair se ghaafil hoon main
haae kya achchhi kahi zaalim hoon main jaahil hoon main
main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairaai na thi
jo numood-e-haque se mit jaata hai wo baatil hoon main
ilm ke se nikle ghota-zan gauhar-b-dast
waae mahroomi khazaf chain lab saahil hoon main
hai miri zillat hi kuchh meri sharaafat ki daleel
jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghaafil hoon main
bazm-e-hasti apni aaraaish pe tu naazan na ho
tu toh ik tasweer hai mahfil ki aur mahfil hoon main
dhoondhata phirta hoon main iqubaal apne-aap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga