naala hai -e-shoreeda tira khaam abhi
apne seene mein ise aur zara thaam abhi
pukhta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql
ho maslahat-andesh toh hai khaam abhi
be-khatar kood pada aatish-e-namrood mein ishq
aql hai mahaw-e-tamaasha-e-lab-e-baam abhi
ishq farmooda-e-quasid se subuk-gaam-e-amal
aql samjhi hi nahi maani-e-paighaam abhi
shewa-e-ishq hai aazaadi o dahar-aashebi
tu hai zunnaari-e-but-khana-e-ayyaam abhi
uzr-e-parhez pe kahta hai bigad kar saaqui
hai tire dil mein wahi kaawish-e-anjaam abhi
sai-e-paiham hai taraazoo-kam-o-kaif-e-hayaat
teri meezan hai shumaar-e-sahar-o-shaam abhi
abr-e-naisan ye tunuk-bakhshi-e-shabnam kab tak
mere kohsaar ke laale hain tahi-jaam abhi
baada-gardaan-e-ajam wo arbi meri sharaab
mire saaghar se jhijakte hain mai-aashaam abhi
khabar iqubaal ki laai hai gulistan se naseem
nau-giraftaar phadakta hai tah-e-daam abhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga