na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
jahan hai tere liye tu nahi jahan ke liye
ye aql o hain sharar shola-e-mohabbat ke
wo khaar-o-khas ke liye hai ye neestan ke liye
maquam-e-parawrish-e-aah-o-laala hai ye
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyan ke liye
rahega raawi o neel o furaat mein kab tak
tira safeena ki hai bahar-e-be-karan ke liye
nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko
taras gae hain kisi mard-e-raah-dan ke liye
nigah buland sukhan dil-nawaaz jan pur-soz
yahi hai rakht-e-safar meer-e-kaarwan ke liye
zara si baat thi andesha-e-ajam ne use
badha diya hai faquat zeb-e-daastan ke liye
mire guloo mein hai ik naghma jibraaeel-aashob
sambhaal kar jise rakkha hai la-makan ke liye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga