na aate hamein is mein takraar kya thi
magar waada karte hue aar kya thi
tumhare payaami ne sab raaz khola
is mein bande ki sarkaar kya thi
bhari bazm mein apne aashique ko taada
tiri aankh masti mein hushyaar kya thi
taammul toh tha un ko aane mein quasid
magar ye bata -e-inkaar kya thi
khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa
kashish teri ai shauque-e-deedaar kya thi
kahin zikr rahta hai iqubaal tera
fusoon tha koi teri guftaar kya thi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga