musalman ke lahoo mein hai saleequa -nawaazi ka
murawwat -e-aalam-geer hai mardaan-e-ghaazi ka
shikaayat hai mujhe yaa rab khudaawandaan-e-maktab se
sabaque shaahin bachchon ko de rahe hain khaak-baazi ka
bahut muddat ke nakhcheeron ka andaaz-e-nigah badla
ki main ne faash kar daala tareequa shaahbaazi ka
qualandar juz do harf-e-la-ilaah kuchh bhi nahi rakhta
faqueeh-e-shahar quaroon hai lughat-ha-e-hijaazi ka
hadees-e-baada-o-meena-o-jaam aati nahi mujh ko
na kar khaara-shaghaafon se taquaza sheesha-saazi ka
kahan se tu ne ai iqubaal seekhi hai ye darweshi
ki charcha paadshaahon mein hai teri be-niyaazi ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga