la phir ik baar wahi baada o jaam ai saaqui
haath aa jaae mujhe mera maquam ai saaqui
teen sau saal se hain hind ke mai-khaane band
ab munaasib hai tira faiz ho aam ai saaqui
meri meena-e-ghazal mein thi zara si baaqui
shekh kahta hai ki hai ye bhi haraam ai saaqui
sher mardon se hua besh-e-tahqueeque tahi
rah gae soofi o mulla ke ghulaam ai saaqui
ki tegh-e-jigar-daar uda li kis ne
ilm ke haath mein khaali hai niyaam ai saaqui
seena raushan ho toh hai soz-e- ain-e-hayaat
ho na raushan toh sukhan marg-e-dawaam ai saaqui
tu miri raat ko mahtaab se mahroom na rakh
tire paimaane mein hai maah-e-tamaam ai saaqui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga