khudi wo bahar hai jis ka koi kinaara nahi
tu aabjoo ise samjha agar toh chaara nahi
tilism-e-gumbad-e-gardoon ko tod sakte hain
zujaaj ki ye imaarat hai sang-e-khaara nahi
khudi mein doobte hain phir ubhar bhi aate hain
magar ye hausla-e-mard-e-hech-kaara nahi
tire maquam ko anjum-shanaas kya jaane
ki -e-zinda hai tu taaba-e-sitaara nahi
yahin bahisht bhi hai hoor o jibraeel bhi hai
tiri nigah mein abhi shokhi-e-nazaara nahi
mire junoon ne zamaane ko khoob pahchaana
wo pairhan mujhe bakhsha ki paara paara nahi
ghazab hai ain-e-karam mein bakheel hai
ki laal-e-naab mein aatish toh hai sharaara nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga