khudi ho ilm se mohkam toh ghairat-e-jibreel
agar ho se mohkam toh soor-e-israafeel
azaab-e-daanish-e-haazir se ba-khabar hoon main
ki main is mein daala gaya hoon misl-e-khaleel
fareb-khurda-e-manzil hai kaarwan warna
ziyaada raahat-e-manzil se hai nashaat-e-raheel
nazar nahi toh mire halqua-e-sukhan mein na baith
ki nukta-ha-e-khudi hain misaal-e-tegh-e-aseel
mujhe wo dars-e-farang aaj yaad aate hain
kahan huzoor ki lazzat kahan hijaab-e-daleel
andheri shab hai juda apne quafile se hai tu
tire liye hai mira shola-e-nawa quindeel
ghareeb o saada o rangin hai dastaan-e-haram
nihaayat is ki husain ibtida hai ismaaeel
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga