khird-mandon se kya poochhoon ki meri ibtida kya hai
ki main is fikr mein rahta hoon meri intiha kya hai
khudi ko kar buland itna ki har taqudeer se pahle
bande se khud poochhe bata teri raza kya hai
maquam-e-guftugoo kya hai agar main keemiya-gar hoon
yahi soz-e-nafas hai aur meri keemiya kya hai
aain mujhe taqudeer ki gahraaiyan is mein
na poochh ai ham-nashin mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai
agar hota wo majzoob-e-farangi is zamaane mein
toh iqubaal us ko samjhaata maquam-e-kibriya kya hai
nawa-e-subh-gaahi ne jigar khoon kar diya mera
khudaaya jis khata ki ye saza hai wo khata kya hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga