jab sikhaata hai aadaab-e-khud-aagaahi
khulte hain ghulaamon par asraar-e-shahanshaahi
attaar ho roomi ho raazi ho ghazaali ho
kuchh haath nahi aata be-aah-e-sahar-gaahi
naumeed na ho in se ai rahbar-e-farzaana
kam-kosh toh hain lekin be-zauque nahi raahi
ai taair-e-laahooti us rizque se achchhi
jis rizque se aati ho parwaaz mein kotaahi
daara o sikandar se wo mard-e-faqueer aula
ho jis ki faqueeri mein boo-e-asdool-laahi
aaeen-e-jawan-mardan haque-goi o be-baaqui
allaah ke sheron ko aati nahi roobaahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga