hazaar khauf ho lekin zaban ho ki rafeeque
yahi raha hai azal se qualandaron ka tareeque
hujoom kyoon hai ziyaada sharaab-khaane mein
faquat ye baat ki peer-e-mughan hai mard-e-khaleeque
ilaaj-e-zof-e-yaquin in se ho nahi sakta
ghareeb agarche hain raazi ke nukta-haae-daqueeque
mureed-e-saada toh ro ro ke ho gaya taaib
kare ki mile shaikh ko bhi ye taufeeque
usi tilism-e-kuhan mein aseer hai aadam
baghal mein us ki hain ab tak butaan-e-ahad-e-ateeque
mire liye toh hai iquraar-e-bil-lisan bhi bahut
hazaar shukr ki mulla hain saahib-e-tasdeeque
agar ho ishq toh hai kufr bhi musalmaani
na ho toh mard-e-musalman bhi kaafir o zindeeque
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga