har musafir har cheez raahi
kya taare kya murgh o maahi
tu mard-e-maidan tu meer-e-lashkar
noori huzoori tere sipaahi
kuchh quadr apni tu ne na jaani
ye be-sawaadi ye kam-nigaahi
duniyaa-e-doon ki kab tak ghulaami
yaa raahebi kar yaa paadshaahi
peer-e-haram ko dekha hai main ne
kirdaar-e-be-soz guftaar waahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga