fitrat ko khirad ke roo-b-roo kar
taskheer-e-maquam-e-rang-o-boo kar
tu apni khudi ko kho chuka hai
khoi hui shay ki justujoo kar
taaron ki faza hai be-karaana
tu bhi ye maquam-e-aarzoo kar
uryan hain tire ki hoorein
chaak-e--o-laala ko rafoo kar
be-zauque nahi agarche fitrat
jo us se na ho saka wo tu kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga