soz se khaali hai nigah paak nahi hai
phir is mein ajab kya ki tu bebaak nahi hai
hai zauque-e-tajalli bhi isi mein pinhan
ghaafil tu nira saahib-e-idraak nahi hai
wo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan
purkaar o sukhan-saaz hai namnaak nahi hai
kya soofi o mulla ko khabar mere junoon ki
un ka sar-e-daaman bhi abhi chaak nahi hai
kab tak rahe mahkoomi-e-anjum mein miri khaak
yaa main nahi yaa gardish-e-aflaak nahi hai
bijli hoon nazar koh o bayaaban pe hai meri
mere liye shaayan khas-o-khaashaak nahi hai
aalam hai faquat momin-e-jaambaaz ki meeraas
momin nahi jo saahib-e-laulaak nahi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga