aql go aastan se door nahi
us ki taqudeer mein huzoor nahi
-e-beena bhi kar khuda se talab
aankh ka noor ka noor nahi
ilm mein bhi suroor hai lekin
ye wo jannat hai jis mein hoor nahi
kya ghazab hai ki is zamaane mein
ek bhi saahab-e-suroor nahi
ik junoon hai ki ba-shuoor bhi hai
ik junoon hai ki ba-shuoor nahi
naa-suboori hai zindagi dil ki
aah wo dil ki naa-suboor nahi
be-huzoori hai teri maut ka raaz
zinda ho tu toh be-huzoor nahi
har guhar ne sadaf ko tod diya
tu hi aamaada-e-zuhoor nahi
arini main bhi kah raha hoon magar
ye hadees-e-kaleem-o-toor nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga