anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashique kaun si basti ke yaa-rab rahne waale hain
ilaaj-e- mein bhi dard ki lazzat pe marta hoon
jo the chhaalon mein kaante nok-e-sozan se nikaale hain
phala-phoola rahe yaa-rab meri umeedon ka
jigar ka khoon de de kar ye boote main ne paale hain
rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki
niraala ishq hai mera niraale mere naale hain
na poochho mujh se lazzat khaanman-barbaad rahne ki
nasheman saikdon main ne bana kar phoonk daale hain
nahi begaangi achchhi rafeeque-e-raah-e-manzil se
thahar ja ai sharar ham bhi toh aakhir mitne waale hain
umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakkha hai waaiz ko
ye hazrat dekhne mein seedhe-saadhe bhole bhaale hain
mire ashaaar ai iqubaal kyoon pyaare na hon mujh ko
mire toote hue dil ke ye dard-angez naale hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga