agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai yaa mera
mujhe fikr-e-jahan kyoon ho jahan tera hai yaa mera
agar hangaama-ha-e-shauque se hai la-makan khaali
kis ki hai yaa rab la-makan tera hai yaa mera
use subh-e-azal inkaar ki juraat hui kyoonkar
mujhe maaloom kya wo raaz-dan tera hai yaa mera
mohammad bhi tira jibreel bhi quraaan bhi tera
magar ye -e-sheerin tarjuman tera hai yaa mera
isi kaukab ki taabaani se hai tera jahan raushan
zawaal-e-aadam-e-khaaki ziyan tera hai yaa mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga