aflaak se aata hai naalon ka jawaab aakhir
karte hain khitaab aakhir uthte hain aakhir
ahwaal-e-mohabbat mein kuchh farque nahi aisa
soz o tab-o-taab awwal soz o tab-o-taab aakhir
main tujh ko bataata hoon taqudeer-e-umam kya hai
shamsheer-o-sinan awwal taaoos-o-rubaab aakhir
mai-khana-e-yoorop ke dastoor niraale hain
laate hain suroor awwal dete hain sharaab aakhir
kya dabadba-e-naadir kya shaukat-e-taimoori
ho jaate hain sab daftar gharque-e-mai-e-naab aakhir
khalwat ki ghadi guzri jalwat ki ghadi aai
chhutne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir
tha bahut mushkil is sail-e-maaani ka
kah daale qualandar ne asraar-e-kitaab aakhir
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga