zid hai unhein poora mira arman na karenge
munh se jo nahi nikli hai ab han na karenge
kyoon zulf ka bosa mujhe lene nahi dete
kahte hain ki wallaah pareshan na karenge
hai mein ik baat tumhare mutaallique
khalwat mein jo poochhoge toh pinhan na karenge
waaiz toh banaate hain musalmaan ko kaafir
afsos ye kaafir ko musalman na karenge
kyoon shukr-guzaari ka mujhe shauque hai itna
sunta hoon wo mujh par koi ehsan na karenge
na samjhe hamein wo samjhe sharaabi
ab chaak kabhi jeb o gareban na karenge
wo jaante hain ghair mire ghar mein hai mehman
aaenge toh mujh par koi ehsan na karenge
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin