wo hawa na rahi wo na raha wo gali na rahi wo hasin na rahe
wo falak na raha wo saman na raha wo makan na rahe wo makin na rahe
wo gulon mein gulon ki si boo na rahi wo azeezon mein lutf ki khoo na rahi
wo haseenon mein rang-e-wafa na raha kahein aur ki kya wo hamin na rahe
na wo aan rahi na umang rahi na wo rindi o zohad ki jang rahi
soo-e-quibla nigaahon ke rukh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabin na rahe
na wo jaam rahe na wo mast rahe na fidaai-e-ahad-e-alast rahe
wo tareequa-e-kaar-e-jahan na raha wo mashaaghil-e-raunaque-e-din na rahe
hamein laakh zamaana lubhaae toh kya nae rang jo charkh dikhaae toh kya
ye muhaal hai ahal-e-wafa ke liye -e-millat o ulfat-e-din na rahe
tire koocha-e-zulf mein dil hai mira ab use main samajhta hoon daam-e-bala
ye ajeeb sitam hai ajeeb jafa ki yahan na rahe toh kahin na rahe
ye tumhare hi dam se hai bazm-e-tarab abhi jaao na tum na karo ye ghazab
koi baith ke lutf uthaaega kya ki jo raunaque-e-bazm tumhin na rahe
jo thin chashm-e-falak ki bhi noor-e-nazar wahi jin pe nisaar the shams o quamar
so ab aisi miti hain wo anjumnein ki nishaan bhi un ke kahin na rahe
wahi soortein rah gain pesh-e-nazar jo zamaane ko pherein idhar se udhar
magar aise jamaal-e-jahan-aara jo the raunaque-e-roo-e-zamin na rahe
gham o ranj mein akbar agar hai ghira toh samajh le ki ranj ko bhi hai fanaa
kisi shay ko nahi hai jahan mein baqua wo ziyaada malool o hazin na rahe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin