ummeed tooti hui hai meri jo mira tha wo mar chuka hai
jo zindagaani ko talkh kar de wo waqt mujh par guzar chuka hai
agarche seene mein saans bhi hai nahi tabeeat mein jaan baaqui
ajal ko hai der ik ki falak toh kaam apna kar chuka hai
ghareeb-khaane ki ye udaasi ye naa-durusti nahi quadeemi
chahal pahal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai
ye seena jis mein ye daagh mein ab masarraton ka kabhi tha makhzan
wo dil jo armaan se bhara tha khushi se us mein thahar chuka hai
ghareeb akbar ke gard kyoon mein khayaal waaiz se koi kah de
use daraate ho maut se kya wo zindagi hi se dar chuka hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin