tiri zulfon mein uljha hua hai
bala ke pech mein aaya hua hai
na kyoonkar boo-e-khoon naame se aae
usi jallaad ka likkha hua hai
chale duniyaa se jis ki mein ham
ghazab hai wo hamein bhoola hua hai
kahoon kya haal agli isharton ka
wo tha ik khawaab jo bhoola hua hai
jafa ho yaa wafa ham sab mein khush hain
karein kya ab toh dil atka hua hai
hui hai ishq hi se husn ki quadr
hamin se aap ka shohra hua hai
buton par rahti hai maail hamesha
tabeeat ko khudaaya kya hua hai
pareshan rahte ho din raat akbar
ye kis ki zulf ka sauda hua hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin