shekh ne naaquoos ke sur mein jo khud hi taan li
phir toh yaaron ne bhajan gaane ki khul kar thaan li
muddaton quaim rahengi ab dilon mein garmiyan
main ne photo le liya us ne pahchaan li
ro rahe hain dost meri laash par be-ikhtiyaar
ye nahi daryaaft karte kis ne is ki jaan li
main toh injan ki gale-baazi ka quail ho gaya
rah gae naghme hudi-khwaanon ke aisi taan li
hazrat-e-akbar ke istiqlaal ka hoon motrif
ta-b-marg us par rahe quaim jo mein thaan li
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin