saans lete hue bhi darta hoon
ye na samjhein ki aah karta hoon
bahar-e-hasti mein hoon misaal-e-habaab
mit hi jaata hoon jab ubharta hoon
itni aazaadi bhi ghaneemat hai
saans leta hoon baat karta hoon
shaikh saahab se darte hon
main toh angrezon hi se darta hoon
aap kya poochhte hain mera mizaaj
shukr allaah ka hai marta hoon
ye bada aib mujh mein hai akbar
mein jo aae kah guzarta hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin