rang-e-sharaab se miri niyyat badal gai
waaiz ki baat rah gai saaqui ki chal gai
tayyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-hoor
jalwa buton ka dekh ke niyyat badal gai
machhli ne dheel paai hai luqme pe shaad hai
sayyaad mutmain hai ki kaanta nigal gai
chamka tira jo mahfil mein waqt-e-shaam
be-quaraar hua shama jal gai
uqba ki baaz-purs ka jaata raha khayaal
duniyaa ki lazzaton mein tabeeat bahal gai
hasrat bahut taraqqui-e-dukhtar ki thi unhein
parda jo uth gaya toh wo aakhir nikal gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin