na rooh-e-mazhab na qualb-e-aarif na shaairaana baaqui
zamin hamaari badal gai hai agarche hai aasmaan baaqui
-e-guzishta ke saaz o saaman ke ab kahan hain nishaan baaqui
zabaan-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah gai daastaan baaqui
jo zikr aata hai aakhirat ka toh aap hote hain saaf munkir
khuda ki nisbat bhi dekhta hoon yaqueen rukhsat gumaan baaqui
fuzool hai un ki bad-dimaaghi kahan hai fariyaad ab labon par
ye waar par waar ab abas hain kahan badan mein hai jaan baaqui
main apne mitne ke gham mein naalan udhar zamaana hai shaad o khandan
ishaara karti hai chashm-e-dauran jo aan baaqui jahaan baaqui
isi liye rah gai hain aankhein ki mere mitne ka rang dekhein
sunoon wo baatein jo hosh udaaein isi liye hain ye kaan baaqui
taajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-akbar
abhi midil paas tak nahi hai bahut se hain imtihaan baaqui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin