kya jaaniye sayyad the haque aagaah kahan tak
samjhe na ki seedhi hai miri kahan tak
mantique bhi toh ik cheez hai ai quibla o kaaba
de sakti hai kaam aap ki wallaah kahan tak
aflaak toh is ahad mein saabit hue maadoom
ab kya kahoon jaati hai miri aah kahan tak
kuchh sanaat o hirfat pe bhi laazim hai tawajjoh
aakhir ye gawarnament se tanakhwaah kahan tak
marna bhi zaroori hai bhi hai koi cheez
ai hirs ke bando hawas-e-jaah kahan tak
tahseen ke laayaque tira har sher hai akbar
ahbaab karein bazm mein ab waah kahan tak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin