khushi hai sab ko ki ऑpareshan mein khoob nishtar ye chal raha hai
kisi ko is ki khabar nahi hai mareez ka dam nikal raha hai
isi rang par hai quaim falak wahi chaal chal raha hai
shikasta o muntashir hai wo kal jo aaj saanche mein dhal raha hai
ye dekhte ho jo kaasa-e-sar ghuroor-e-ghaflat se kal tha mamloo
yahi badan naaz se pala tha jo aaj mitti mein gal raha hai
samajh ho jis ki baleegh samjhe ho jis ki waseea dekhe
abhi yahan khaak bhi udegi jahan ye qulzum ubal raha hai
kahan ka sharqui kahan ka gharbi tamaam dukh sukh hai ye masaawi
yahan bhi ik ba-muraad khush hai wahan bhi ik gham se jal raha hai
urooj-e-quaumi zawaal-e-quaumi khuda ki qudrat ke hain karishme
hamesha radd-o-badal ke andar ye amr politikal raha hai
mazaa hai speech ka dinar mein khabar ye chhapti hai paainiyar mein
falak ki gardish ke saath hi saath kaam yaaron ka chal raha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin