khatm kiya saba ne raqs pe nisaar ho chuki
josh-e-nashaat ho chuka saut-e-hazaar ho chuki
rang-e-banafsha mit gaya sumbul-e-tar nahi raha
sehan-e- mein zeenat-e-naqsh-o-nigaar ho chuki
masti-e-laala ab kahan us ka pyaala ab kahan
daur-e-tarab guzar gaya aamad-e-yaar ho chuki
rut wo jo thi badal gai aai bas aur nikal gai
thi jo hawa mein nikhat-e-mushk-e-tataar ho chuki
ab tak usi rawish pe hai akbar-e-mast-o-be-khabar
kah de koi azeez-e-man fasl-e-bahaar ho chuki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin