kahan wo ab lutf-e-baahmi hai mohabbaton mein bahut kami hai
chali hai kaisi hawa ilaahi ki har tabeeat mein barahmi hai
miri wafa mein hai kya tazalzul miri itaaat mein kya kami hai
ye kyoon nigaahein phiri hain mujh se mizaaj mein kyoon ye barahmi hai
wahi hai fazl-e-khuda se ab tak taraqki-e-kaar-e- o ulfat
na wo hain mashque-e-sitam mein quasir na khoon-e- ki yahan kami hai
ajeeb jalwe hain hosh dushman ki waham ke bhi quadam ruke hain
ajeeb manzar hain hairat-afza nazar jahan thi wahin thami hai
na koi takreem-e-baahmi hai na pyar baaqui hai ab dilon mein
ye sirf tahreer mein diyar sar hai yaa janaab-e-mukarrami hai
kahan ke muslim kahan ke hindoo bhulaai hain sab ne agli rasmein
aqueede sab ke hain teen-terah na gyaarahwin hai na ashtami hai
nazar miri aur hi taraf hai hazaar rang-e-zamaana badle
hazaar baatein banaae naaseh jami hai dil mein jo kuchh jami hai
agarche main rind-e-mohatram hoon magar ise shaikh se na poochho
ki un ke aage toh is zamaane mein saari duniyaa jahannami hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin