jo tumhare lab-e-jan-bakhsh ka shaida hoga
uth bhi jaaega jahan se toh maseeha hoga
wo toh moosa hua jo taalib-e- hua
phir wo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga
quais ka zikr mire shaan-e-junoon ke aage
agle waqton ka koi baadiya-paima hoga
aarzoo hai mujhe ik shakhs se milne ki bahut
naam kya loon koi allaah ka bandaa hoga
laal-e-lab ka tire bosa toh main leta hoon magar
ye hai khoon-e-jigar baad mein peena hoga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin