jazba-e- ne mire taaseer dikhlaai toh hai
ghungharooon ki jaanib-e-dar kuchh sada aai toh hai
ke izhar mein har-chand ruswaai toh hai
par karoon kya ab tabeeat aap par aai toh hai
aap ke sar ki quasam mere siwa koi nahi
be-takalluf aaiye kamre mein tanhaai toh hai
jab kaha main ne tadapta hai bahut ab dil mira
hans ke farmaaya tadapta hoga saudaai toh hai
dekhiye hoti hai kab raahi soo-e-mulk-e-adam
khana-e-tan se hamaari rooh ghabraai toh hai
dil dhadakta hai mira loon bosa-e-rukh yaa na loon
neend mein us ne dulaai munh se sarkaai toh hai
dekhiye lab tak nahi aati gul-e-aariz ki yaad
sair-e-gulshan se tabeeat ham ne bahlaai toh hai
main bala mein kyoon phansoon deewaana ban kar us ke saath
dil ko wahshat ho toh ho kambakht saudaai toh hai
khaak mein dil ko milaaya jalwa-e-raftaar se
kyoon na ho ai naujwan ik shaan-e-raanaai toh hai
yoon murawwat se tumhare saamne chup ho rahein
kal ke jalson ki magar ham ne khabar paai toh hai
baada-e-gul-rang ka saaghar inaayat kar mujhe
saaquiya taakheer kya hai ab ghata chhaai toh hai
jis ki ulfat par bada daawa tha kal akbar tumhein
aaj ham ja kar use dekh aae harjaai toh hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin