jahan mein haal mira is quadar zaboon hua
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukoon hua
ghareeb ne bahut aarzooein paida kin
magar ka likkha ki sab ka khoon hua
wo apne husn se waaquif main apni aql se sair
unhon ne hosh sambhaala mujhe junoon hua
ummeed-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baaqui
zareeya baaton ka jab sirf teleefon hua
nigaah-e-garm krismas mein bhi rahi ham par
hamare haque mein disambar bhi maah-e-joon hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin