jab yaas hui toh aahon ne seene se nikalna chhod diya
ab khushk-mizaaj aankhein bhi huin ne bhi machalna chhod diya
naawak-fagni se zaalim ki jangal mein hai ik sannaata sa
murghaan-e-khush-alhan ho gae chup aahoo ne uchhalna chhod diya
kyoon kibr-o-ghuroor is daur pe hai kyoon dost falak ko samjha hai
gardish se ye apni baaz aaya yaa rang badalna chhod diya
badli wo hawa guzra wo saman wo nahi wo log nahi
tafreeh kahan aur sair kuja ghar se bhi nikalna chhod diya
wo soz-o-gudaaz us mahfil mein baaqui na raha andher hua
parwaanon ne jalna chhod diya shamon ne pighalna chhod diya
har gaam pe chand aankhein nigran har mod pe ik lesans-talab
us paark mein aakhir ai akbar main ne toh tahalna chhod diya
kya deen ko quwwat dein ye jawan jab hausla-afza koi nahi
kya hosh sambhaalein ye ladke khud us ne sambhalna chhod diya
iqubaal musaaid jab na raha rakkhe ye quadam jis manzil mein
ashjaar se saaya door hua chashmon ne ubalna chhod diya
allaah ki raah ab tak hai khuli aasaar-o-nishan sab quaem hain
allaah ke bandon ne lekin us raah mein chalna chhod diya
jab sar mein hawa-e-taaat thi sarsabz shajar ummeed ka tha
jab sar-sar-e-isyan chalne lagi is ped ne phalna chhod diya
us hoor-laqua ko ghar laae ho tum ko mubaarak ai akbar
lekin ye quayaamat ki tum ne ghar se jo nikalna chhod diya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin