-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna pada
jo barahman ne kaha aakhir wo sab karna pada
karna furqat-e-mahboob mein samjhe the sahal
khul gaya apni samajh ka haal jab karna pada
tajarbe ne hubb-e-duniyaa se sikhaaya ehtiraaz
pahle kahte the faquat munh se aur ab karna pada
shaikh ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahi
deen ki khaatir se duniyaa ko talab karna pada
kya kahoon be-khud hua main kis nigaah-e-mast se
aql ko bhi meri hasti ka adab karna pada
iqutiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin
shaikh-saahib ko bhi aakhir kaar-e-shab karna pada
aalam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katmaan-e-raaz
ek shay ko doosri shay ka sabab karna pada
sher ghairon ke use mutlaque nahi aae pasand
hazrat-e-akbar ko bil-aakhir talab karna pada
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin