haya se sar jhuka lena ada se muskura
haseenon ko bhi kitna sahal hai bijli gira dena
ye tarz ehsaan karne ka tumhin ko zeb deta hai
maraz mein mubtala kar ke mareezon ko dawa dena
balaaein lete hain un ki ham un par jaan dete hain
ye sauda deed ke quabil hai kya lena hai kya dena
khuda ki yaad mein mahwiyat-e- baadshaahi hai
magar aasan nahi hai saari duniyaa ko bhula dena
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin