har quadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahi hai lagaane ke liye
kya mujhe khush aae ye hairat-sara-e-be-sabaat
hosh udne ke liye hai jaan jaane ke liye
ne dekha hai bisaat-e-quwwat-e-idraak ko
kya badhe is bazm mein aankhein uthaane ke liye
khoob ummeedein bandhin lekin huin hirman naseeb
badliyan utthin magar bijli giraane ke liye
saans ki tarkeeb par mitti ko pyar aa hi gaya
khud hui quaid us ko seene se lagaane ke liye
jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha
yaad phir mujh ko dilaana bhool jaane ke liye
deeda-baazi wo kahan aankhein raha karti hain band
jaan hi baaqui nahi ab dil lagaane ke liye
mujh ko khush aai hai masti shaikh ji ko farabhi
main hoon peene ke liye aur wo hain khaane ke liye
allaah allaah ke siwa aakhir raha kuchh bhi na yaad
jo kiya tha yaad sab tha bhool jaane ke liye
sur kahan ke saaz kaisa kaisi bazm-e-saamaeen
josh-e-dil kaafi hai akbar taan udaane ke liye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin