hangaama hai kyoon barpa thodi si jo pi li hai
daaka toh nahi maara chori toh nahi ki hai
naa-tajarba-kaari se waaiz ki ye hain baatein
is rang ko kya jaane poochho toh kabhi pi hai
us mai se nahi matlab jis se hai begaana
maqsood hai us mai se hi mein jo khinchati hai
ai shauque wahi mai pi ai hosh zara so ja
mehmaan-e-nazar is dam ek barque-e-tajalli hai
wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai
har zarra chamakta hai anwaar-e-ilaahi se
har saans ye kahti hai ham hain toh khuda bhi hai
sooraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
but ham ko kahein kaafir allaah ki marzi hai
taaleem ka shor aisa tahzeeb ka ghul itna
barkat jo nahi hoti niyyat ki kharaabi hai
sach kahte hain shaikh akbar hai taaat-e-haque laazim
han tark-e-mai-o-shaahid ye un ki buzurgi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin