haal-e- main suna nahi sakta
lafz maana ko pa nahi sakta
naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh utha nahi sakta
hosh aarif ki hai yahi pahchaan
ki khudi mein sama nahi sakta
ponchh sakta hai ham-nashin aansoo
daagh-e-dil ko mita nahi sakta
mujh ko hairat hai us ki qudrat par
alam us ko ghata nahi sakta
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin