ghamza nahi hota ki ishaara nahi hota
aankh un se jo milti hai toh kya kya nahi hota
jalwa na ho maani ka toh soorat ka asar kya
bulbul -e-tasweer ka shaida nahi hota
allaah bachaae maraz-e-ishq se ko
sunte hain ki ye aariza achchha nahi hota
tashbeeh tire chehre ko kya doon gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahi hota
main naza mein hoon aaein toh ehsaan hai un ka
lekin ye samajh lein ki tamaasha nahi hota
ham aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam
wo quatl bhi karte hain toh charcha nahi hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
hungaama hai kyun barpa thoRi si jo pee li hai
daaka to nahin daala chori to nahin ki hai
duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon
hum aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
ishq naazuk-mizaaj hai behad
aql ka bojh uTha nahin sakta
rahega ishq-e-but mein faraq dunia se deeni ka
agar ye sajda hai kaabe ka vo sajda hai kuchh aur
rahta sukhan se naam qayaamat talak hai
ye zinda-jaaved hai vo murda-zabaan nahin